Monday, January 5, 2009

Mera Sheher

mera shahar bas mera hi hai aur koi nahi rehta yahan
ittifakan hi shor ho warna koi kisi se kuch nahi kehta yahaan
tanhai ki bheed ko har koi khushi se sehta yahaan
mera shahar bas mera hi hai aur koi nahi rehta yahan

mere sheher ke bazaar me milte hai beandaazah gam
sadko pe chauraho pe log chalte hain subuk kadam
mere sheher ke shaksa ki navz me lahu behta kahan
mera shahar bas mera hi hai aur koi nahi rehta yahan

mere sheher ke parvato me goonjati khamoshiyan
ummed ki kirno ke aage chayee hain badliyaan
mere gamo ko khareed le aesa koi na farishta yahaan
mera shahar bas mera hi hai aur koi nahi rehta yahan

mera sheher hai ek chota sa ye kamra mera
isi ke andhere me hai meri raatein isi ke andhere me savera
iske aage ki duniya se mera koi bhi wastaa kahan
mera shahar bas mera hi hai aur koi nahi rehta yahan

subuk: soft,quite

No comments:

Post a Comment

Visit blogadda.com to discover Indian blogs