Monday, January 5, 2009

Asthiyan

asthiyan saari bator li maine, fir bhi himmat na hui ki inko ja ke baha aau
naadan itna, socha ki inko jod du fir se aur waapis jisko khoya usko pau

koshish to ki bahut par sab bikharta gaya, kuch bhi na haath laga, kuch bhi na paya
roya fir se, chillaya, dekha, socha jane-anjaane pata nahi kaise sab kuch kho aaya

kaise jaane haath wo chuta jiski nami abhi tak meri lakeeroan me kahi fasi hai
kai bar dekha, jaana pehchana, har bar laga ki is rishtey ki kadi kafi kasi hai

fir bhi sab kuch fisal gaya ab, be-kas haathon ko kar ke jaane gum hua kab
ab toot gaya hu katroan me mein,bas chahat hai thodi shafaqat barse rab

mein ab theek hu bilkul, lekin sirf chaubees ghante hi wo sab yaad kar pata hu
par fir bhi sisakte sisakte, nakaami ki chadar odh ke ab me so jata hu


be-kas -lonely
shafaqat- mercy

No comments:

Post a Comment

Visit blogadda.com to discover Indian blogs