Monday, January 5, 2009

Daai

Is duniya ke nukile patharoan se tu mujhko bachati aayi hai
ae meri chappal tu bas ek chappal nahi tu to meri daai hai

ek kinare padi rehti kabhi kisi se kuch na kehti,hamesha saath lekar chalti tu meri parchai hai
ae meri chappal tu bas ek chappal nahi tu to meri daai hai

teri koi chah nahi kya , kyu tu mere bojh tale ab tak ghisti aayi hai
ae meri chappal tu bas ek chappal nahi tu to meri daai hai

tera rang ab nikal chuka hai, aedi se tu khatm hai samjho, teri maut ab nikat aayi hai
ae meri chappal tu bas ek chappal nahi tu to meri daai hai

ab mein tujhko chod dunga, fek dunga kahi, ab tu boodhi ho chali hai,kyu rakhu tujhe apne paas, tune aesi ummed kyu jagai hai
chahe tune mujhe paala,nikhara, surakshit rakha, par fir bhi tu to bas meri daai hai, tu to bas meri daai hai, tu kahan meri maai hai

No comments:

Post a Comment

Visit blogadda.com to discover Indian blogs