Monday, January 5, 2009

Dastak

dastak ek darwaze pe, fir meri dhadkan rok gayi hai
koi to hoga socha maine, khola dekha koi nahi hai
koi aya, laut gaya fir, khola muh, hoth siya fir
galti se ya jane boojhe, par aesa ho hi na sakta
kyu ayega koi is dar pe, mera yahan par koi nahi hai
dastak ek darwaze pe, fir meri dhadkan rok gayi hai

ek hi dost to hai meri jo,hardam mere sang rehti hai
mein hans du to fir zaabit si,chup ho ja mujhko kehti hai
mere ghao ke har hisse me,marham jaise wo bharti hai
aur fir aake mere zahan me ek zaalim si khalish karti hai
wahi hogi wahi to hai,teri yad jo jeena mushkil karti hai
dastak ek darwaze pe, fir meri dhadkan rok gayi hai


zaabit: master
khalish: pain,anxiety

No comments:

Post a Comment

Visit blogadda.com to discover Indian blogs