Monday, January 5, 2009

mera na to abr hai na hi arz hai

mera na to chand hai na hi shams hai
chehre se khush hu ye to ek bhram sa hai
dil ki dhadkan ka shor zara kam sa hai
mera na to chand hai na hi shams hai

meri na to chhat hai na hi deewar hai
past wadoan ki ek behad lambi kataar hai
dil ke dookandaroan ka yahi to vyapaar hai
meri na to chhat hai na hi deewar hai

meri na to jeet hai na hi haar hai
ghoot dar ghoot pee raha behad keemti azaar hai
ruk gaya, saham gaya jo, beh chal ye darkaar hai
meri na to jeet hai na hi haar hai

mera na to abr hai na hi arz hai
zindagi jeena bhi ab to ek karz hai
nibhane ki koshish dam-ba-dam par ek farz hai
mera na to abr hai na hi arz hai



shams: sun
bhram: illusion
past: tired
kataar: queue
azaar: poison
darkaar: request
abr: cloud,sky
arz: land
dam-ba-dam: continuously

No comments:

Post a Comment

Visit blogadda.com to discover Indian blogs