Wrote this one in final year at Hansraj for a street play on labour rights.The play 'Jeena hai to ladna hoga' had the (then)present-day avatar of a character 'Jogi' from Safdar Hashmi's 'Halla Bol'.
Kyu nagn karte ho hamein, kyu rondte ho ye badan
Jis kokh ne rakha tumhe, jis vraksh ne paala tumhe
Us kokh ki izzat karo, us nari ka aadar karo
Mazdoorni ke ang bhi karte hai sakht mazdooriya
apne gharoan ki hi nahi,banate auro ki bhi kyariya
Havshi tum usko baksha do, mardangi ko kam karo
Ho mard tum itne hi to karke dikha do mazdoori
Apna paseena chat kar jee kar dikha do tum hamein
fir maan lenge mard ho, fir maan lenge mard ho.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment